central jail
mazdūrī ek achchhā pesha hai
vo apne hāthoñ kī roTī khātā hai
hālāñki maiñ ziyāda-tar bhūkā rahtā huuñ
maiñ jhūTh aur burī bāteñ bhī suntā huuñ
kabhī-kabhī maiñ bekār bhī rahtā huuñ
phir bhī maiñ ye mānñe ko
bilkul tayyār nahīñ ki
maiñ aisī imārat banā.ūñ
jis ke darvāze par kisī din likhā jaa.e -
central jail
mazduri ek achchha pesha hai
wo apne hathon ki roTi khata hai
haalanki main ziyaada-tar bhuka rahta hun
main jhuTh aur buri baaten bhi sunta hun
kabhi-kabhi main bekar bhi rahta hun
phir bhi main ye manne ko
bilkul tayyar nahin ki
main aisi imarat banaun
jis ke darwaze par kisi din likha jae -
central jail
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.