dariyaa ajnabii hai
dariyā ajnabī hai us ne kahā
vo apnī gā.ikī se milne chalī ga.ī
ham ne mohabbat kī zabān iste'māl nahīñ kī
na hī dariyā ko rā.egāñ chāhā
lekin raat us ke malbūs se buland huī
mere liye ek bilkul anjānī raat
maiñ ne us ke naam par peshkash kī
apne ḳhuun kī peshkash
taaki kuchh der aur rahūñ us ke qadmoñ meñ
kuchh der aur us kī isī gā.ikī meñ
dariya ajnabi hai us ne kaha
wo apni gaiki se milne chali gai
hum ne mohabbat ki zaban iste'mal nahin ki
na hi dariya ko raegan chaha
lekin raat us ke malbus se buland hui
mere liye ek bilkul anjaani raat
main ne us ke nam par peshkash ki
apne KHun ki peshkash
taki kuchh der aur rahun us ke qadmon mein
kuchh der aur us ki isi gaiki mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.