diye
kahīñ se kuchh saḌne kī bū aa rahī thī
aur maiñ jeb se rūmāl nikālne hī vaalā thā
ki merī chhoTī unglī nīche gir ga.ī
use maiñ ne dūsre haath se uThā liyā
to naak hī nikal kar aa ga.ī rūmāl ke saath
jise rūmāl meñ lapeT kar
maiñ ne jeb meñ Daal liyā
phir bhī kahīñ se kuchh saḌne kī bū aa rahī thī
is liye maiñ ne jeb hī jeb meñ naak sikoḌ lī
aur dekhne hī vaalā thā ki
chhoTī unglī meñ kiiḌe to nahīñ paḌ ga.e
usī vaqt diye bujh ga.e
kahin se kuchh saDne ki bu aa rahi thi
aur main jeb se rumal nikalne hi wala tha
ki meri chhoTi ungli niche gir gai
use main ne dusre hath se uTha liya
to nak hi nikal kar aa gai rumal ke sath
jise rumal mein lapeT kar
main ne jeb mein Dal liya
phir bhi kahin se kuchh saDne ki bu aa rahi thi
is liye main ne jeb hi jeb mein nak sikoD li
aur dekhne hi wala tha ki
chhoTi ungli mein kiDe to nahin paD gae
usi waqt diye bujh gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.