duniyaa
Interesting Fact
(ورڈز ورتھ کے سانٹ THE WORLD کا ترجمہ)
haa.e afsos hameñ jaan se duniyā hai 'azīz
raat din zar kī parastish meñ lage rahte haiñ
ham ko qudrat ke nazāroñ se zarā pyaar nahīñ
kitne bad-zauq haiñ paise ko ḳhudā kahte haiñ
bahr meñ chāñd kī kirnoñ kī jhalak kyā kahnā
kitnī pur-kaif bayābāñ kī havā hotī hai
jo ḳhushī miltī hai is gosha-e-tanhā.ī meñ
ruuh ke vāste jāñ-baḳhsh ġhizā hotī hai
haif-sad-haif hameñ in se zarā pyaar nahīñ
aisī kotāh-nigāhī pe to hairāñ huuñ maiñ
maiñ ne Thānī hai ki qudrat kī karūñgā puujā
ye agar kufr hai is kufr pe nāzāñ huuñ maiñ
maiñ jab āġhosh meñ fitrat kī chalā jā.ūñgā
zarre zarre se 'ayāñ nūr-e-ḳhudā pā.ūñgā
hae afsos hamein jaan se duniya hai 'aziz
raat din zar ki parastish mein lage rahte hain
hum ko qudrat ke nazaron se zara pyar nahin
kitne bad-zauq hain paise ko KHuda kahte hain
bahr mein chand ki kirnon ki jhalak kya kahna
kitni pur-kaif bayaban ki hawa hoti hai
jo KHushi milti hai is gosha-e-tanhai mein
ruh ke waste jaan-baKHsh ghiza hoti hai
haif-sad-haif hamein in se zara pyar nahin
aisi kotah-nigahi pe to hairan hun main
main ne Thani hai ki qudrat ki karunga puja
ye agar kufr hai is kufr pe nazan hun main
main jab aaghosh mein fitrat ki chala jaunga
zarre zarre se 'ayan nur-e-KHuda paunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.