gahraa niilaa dariyaa
kis ko mā'lūm hai ye kahāñ hai
hameñ kuchh ḳhabar hī nahīñ ye kahāñ hai
magar phir bhī mā'lūm hai
ye pahāḌoñ ke pīchhe
ka.ī vādiyoñ se vare
saat aur aaTh se bhī pare
talḳh yādeñ liye
thakte qadmoñ
ga.e din kī
pāgal sī yādeñ liye
jhāḌiyoñ aur daraḳhtoñ kī chhāñv ke us paar
ālām aur qaht ke ġham-zada din kī mānind
dukhte diloñ aur tashkīk ke maare zehnoñ se baḌh kar
dukhī
is zamīñ kī tahoñ meñ bahut duur nīche
kabhī āsmānoñ ke us paar
aa.eñ ki dekheñ
ki murġh-e-sahar kī azaañ
horn bajtā na ho jis jagah par
junūñ bhī udāsī bhī
aur zehn kī kāvishoñ se pare
apne ḳhāliq se bāġhī hue
aa.eñ dekheñ
ki ye gahrā niilā sā dariyā
jo gahrā bhī hai
aur chauḌā bhī hai
ek sau saal chauḌā hai
gahrā.ī meñ
mausamoñ kī ruteñ
jab hazāroñ kaTeñ
is kī lambā.ī meñ
kitnī gambhīr gahrā.iyāñ haiñ
ye gahrā sā niilā sā dariyā hai
jis se guzarnā
hamāre muqaddar meñ likhā huā hai
kis ko ma'lum hai ye kahan hai
hamein kuchh KHabar hi nahin ye kahan hai
magar phir bhi ma'lum hai
ye pahaDon ke pichhe
kai wadiyon se ware
sat aur aaTh se bhi pare
talKH yaaden liye
thakte qadmon
gae din ki
pagal si yaaden liye
jhaDiyon aur daraKHton ki chhanw ke us par
aalam aur qaht ke gham-zada din ki manind
dukhte dilon aur tashkik ke mare zehnon se baDh kar
dukhi
is zamin ki tahon mein bahut dur niche
kabhi aasmanon ke us par
aaen ki dekhen
ki murgh-e-sahar ki azan
horn bajta na ho jis jagah par
junun bhi udasi bhi
aur zehn ki kawishon se pare
apne KHaliq se baghi hue
aaen dekhen
ki ye gahra nila sa dariya
jo gahra bhi hai
aur chauDa bhi hai
ek sau sal chauDa hai
gahrai mein
mausamon ki ruten
jab hazaron kaTen
is ki lambai mein
kitni gambhir gahraiyan hain
ye gahra sa nila sa dariya hai
jis se guzarna
hamare muqaddar mein likha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.