Gam hu.aa hai shariik-e-kaar apnaa
ġham huā hai sharīk-e-kār apnā
ab to ronā hai rozgār apnā
dil se hī dil kā dukhḌā rotā huuñ
girya apnā hai sogvār apnā
ek ġham hī hai apnā mahram-e-rāz
ek ġham hī hai ġham-gusār apnā
dil nahīñ jaañ nahīñ to phir kaise
kar sakūñ tujh ko sharmsār apnā
ġham meñ lāzim hai ik sharīk-e-ġham
'ḳhusrav'-e-ġham-zada hai yaar apnā
gham hua hai sharik-e-kar apna
ab to rona hai rozgar apna
dil se hi dil ka dukhDa rota hun
girya apna hai sogwar apna
ek gham hi hai apna mahram-e-raaz
ek gham hi hai gham-gusar apna
dil nahin jaan nahin to phir kaise
kar sakun tujh ko sharmsar apna
gham mein lazim hai ek sharik-e-gham
'KHusraw'-e-gham-zada hai yar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.