Gamzo.n kii jaan asl me.n terii kamaan hai
ġhamzoñ kī jaan asl meñ terī kamān hai
terī kamān hī to mire dil kī jaan hai
ḳhāl-e-siyāh tere ruḳh-e-surḳh par nahīñ
merī sharār-bār fuġhāñ kā nishān hai
maaro mujhe phir apne karam se jilā bhī do
ye merī jaan kyā hai tumhārī hī jaan hai
'ḳhusro' kī āh-o-zārī se nālāñ na ho ki vo
qumrī hai terī kūcha tirā bostān hai
ghamzon ki jaan asl mein teri kaman hai
teri kaman hi to mere dil ki jaan hai
KHal-e-siyah tere ruKH-e-surKH par nahin
meri sharar-bar fughan ka nishan hai
maro mujhe phir apne karam se jila bhi do
ye meri jaan kya hai tumhaari hi jaan hai
'KHusro' ki aah-o-zari se nalan na ho ki wo
qumri hai teri kucha tera bostan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.