gardish-e-rozgaar
din nigal jaatā hai baḌh ke
raat ko
raat bhī kar letī hai din ko
haḌap
rafta rafta dhīre dhīre chaab kar
roz-o-shab barsoñ ko kar lete haiñ hazm
is tarah bas mahv ho jaatā hai barsoñ kā vujūd
tah-ba-tah tārīḳh kī partoñ meñ phir
ḳhud-ba-ḳhud tabdīl ho jaate haiñ saal
zindagī ke zulm-o-istibdād kī ye chaal hai
dāstāñ hai gardish-e-ayyām kī
din nigal jata hai baDh ke
raat ko
raat bhi kar leti hai din ko
haDap
rafta rafta dhire dhire chab kar
roz-o-shab barson ko kar lete hain hazm
is tarah bas mahw ho jata hai barson ka wujud
tah-ba-tah tariKH ki parton mein phir
KHud-ba-KHud tabdil ho jate hain sal
zindagi ke zulm-o-istibdad ki ye chaal hai
dastan hai gardish-e-ayyam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.