gho.nghaa
kahāñ chale
tumhārā makān tumhārī pusht par
aur chaukas tumhārī nannhī nannhī moñchheñ
kaun sā muqaddas safar
bhīgī lakḌī par parvān chaḌhe
kaa.ī ke gore mahbūb
kāhil falsafī
tum insānoñ kī hañgāma-parvar duniyā kā mazāq uḌāne vaale
ham jo dekhte haiñ kyā vo tumhārā bairūn hai
yā tumhārā andarūn
tum mazammat karte ho
hamāre dangā fasād
aur hamārī sat.hī darja-bandī kī
tum chimTe rahte ho hamāre roz-o-shab se
aur hamārī yādoñ se
ibtidā se intihā tak
lekin ham
ham mujāma'at karte haiñ nihāyat 'ujlat meñ
aur duniyā ko badalne ke liye tag-o-dau meñ haiñ
tum hameñ batāte ho ki vaqt ġhair-mahdūd hai
āhista āhista tum sargoshī karte ho
tumhārā lijlijā intibāh
nihāyat ḳhāmoshī se is duniyā kī duhā.ī detā hai
jise ham kho chuke haiñ
kurra-e-arz jo gardish kartā hai āhista āhista
sūraj jo tulū' hotā hai āhista āhista
chāñd jo zamīn ke gird chakkar lagātā hai āhista āhista
āhistagī se bārish
āhistagī se mausīqī
āhistagī se zindagī
āhistagī se maut
kahan chale
tumhaara makan tumhaari pusht par
aur chaukas tumhaari nannhi nannhi monchhen
kaun sa muqaddas safar
bhigi lakDi par parwan chaDhe
kai ke gore mahbub
kahil falsafi
tum insanon ki hangama-parwar duniya ka mazaq uDane wale
hum jo dekhte hain kya wo tumhaara bairun hai
ya tumhaara andarun
tum mazammat karte ho
hamare danga fasad
aur hamari sathi darja-bandi ki
tum chimTe rahte ho hamare roz-o-shab se
aur hamari yaadon se
ibtida se intiha tak
lekin hum
hum mujama'at karte hain nihayat 'ujlat mein
aur duniya ko badalne ke liye tag-o-dau mein hain
tum hamein batate ho ki waqt ghair-mahdud hai
aahista aahista tum sargoshi karte ho
tumhaara lijlija intibah
nihayat KHamoshi se is duniya ki duhai deta hai
jise hum kho chuke hain
kurra-e-arz jo gardish karta hai aahista aahista
suraj jo tulu' hota hai aahista aahista
chand jo zamin ke gird chakkar lagata hai aahista aahista
aahistagi se barish
aahistagi se mausiqi
aahistagi se zindagi
aahistagi se maut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.