gidh
har nukkaḌ par pur-kashish mauqoñ kī
tum sajāte ho kāmyāb dukāneñ
mufāhamat ke taar par chalte hue zindagī ko sañbhālte vaqt
tumhāre be-ġhairat qadam Dagmagāte nahīñ
is chahal-pahal aur bhiiḌ meñ tumhārī āñkhoñ ke us paar tumhāre ifrīt
tumhāre reza-reza vajūd ko uThā.e phirte haiñ
'azāboñ se bharī ḳhār-dār tanhā.ī
pata hī nahīñ chaltā tumheñ ki kab kho ga.e chehre tumhāre
tum to jiye jaate ho gardan par chaḌhā.e hue kāmyābī ke mukhoToñ ke sahāre
ek pal bhī aisā nahīñ jise tum ne boyā ho
tum to har pal ke luTere ho dalāl ho
tumhāre liye kirā.e ke giit gaa.e jaate haiñ
tumhārī ḳhātir kirā.e ke hoñT sharmāte haiñ
kāmyāb chakloñ ke tāqat-var Thekedāro
isī tarah jiite ho tum mafādāt ke moTe moTe gaddoñ par
saste qism ke tez itr ke tahzībī phāhe kānoñ meñ Thūñs kar
mujhe nazar aa rahe haiñ tum par āñkheñ gaḌā.e hue
giddhoñ ke fāqa-zada jhunD pahāḌī ke us paar baiThe ghaat lagā.e hue
har nukkaD par pur-kashish mauqon ki
tum sajate ho kaamyab dukanen
mufahamat ke tar par chalte hue zindagi ko sanbhaalte waqt
tumhaare be-ghairat qadam Dagmagate nahin
is chahal-pahal aur bhiD mein tumhaari aankhon ke us par tumhaare ifrit
tumhaare reza-reza wajud ko uThae phirte hain
'azabon se bhari KHar-dar tanhai
pata hi nahin chalta tumhein ki kab kho gae chehre tumhaare
tum to jiye jate ho gardan par chaDhae hue kaamyabi ke mukhoTon ke sahaare
ek pal bhi aisa nahin jise tum ne boya ho
tum to har pal ke luTere ho dalal ho
tumhaare liye kirae ke git gae jate hain
tumhaari KHatir kirae ke honT sharmate hain
kaamyab chaklon ke taqat-war Thekedaro
isi tarah jite ho tum mafadat ke moTe moTe gaddon par
saste qism ke tez itr ke tahzibi phahe kanon mein Thuns kar
mujhe nazar aa rahe hain tum par aankhen gaDae hue
giddhon ke faqa-zada jhunD pahaDi ke us par baiThe ghat lagae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.