gum-gashtagii
merī chhoTī laḌkī
saath khelne vāloñ kī pukār sun kar
sīḌhī se nichlī manzil kī taraf utar kar jā rahī thī
añdhere meñ Darte Darte ruk ruk kar
haath meñ dīpak thā
āñchal se use oT meñ chhupā.e chal rahī thī bach bach ke
maiñ thā chhat par
tāroñ-bharī chait kī raat thī
achānak laḌkī kā ronā sun kar uTh kar
dekhne ko dauḌ gayā
sīḌhiyoñ ke biich jaate jaate
us kā dīpak havā se bujh gayā hai
maiñ us se pūchhtā huuñ kyā huā hai baamī
vo ro kar nīche se kahtī hai maiñ kho ga.ī huuñ
chait kī tāroñ-bharī raat meñ
chhat par palaT aane ke baa'd
ākāsh kī taraf dekh kar aisā mahsūs huā
jaise hū-bahū merī baamī kī tarah koī ek laḌkī
niile āsmān ko āñchal se gher kar
charāġh kī lau ko bachā.e hue akele chal rahī hai dhīre dhīre
agar dīpak bujh jaatā agar achānak vo ruk jaatī
to vo ākāsh ko apne aap meñ samote hue ro uThtī maiñ kho ga.ī huuñ
meri chhoTi laDki
sath khelne walon ki pukar sun kar
siDhi se nichli manzil ki taraf utar kar ja rahi thi
andhere mein Darte Darte ruk ruk kar
hath mein dipak tha
aanchal se use oT mein chhupae chal rahi thi bach bach ke
main tha chhat par
taron-bhari chait ki raat thi
achanak laDki ka rona sun kar uTh kar
dekhne ko dauD gaya
siDhiyon ke bich jate jate
us ka dipak hawa se bujh gaya hai
main us se puchhta hun kya hua hai baami
wo ro kar niche se kahti hai main kho gai hun
chait ki taron-bhari raat mein
chhat par palaT aane ke ba'd
aakash ki taraf dekh kar aisa mahsus hua
jaise hu-bahu meri baami ki tarah koi ek laDki
nile aasman ko aanchal se gher kar
charagh ki lau ko bachae hue akele chal rahi hai dhire dhire
agar dipak bujh jata agar achanak wo ruk jati
to wo aakash ko apne aap mein samote hue ro uThti main kho gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.