gum-shuda
baa'd is dīvāngī ke
kar nahīñ saktī huuñ bāvar
ab maiñ 'āqil ho ga.ī huuñ
is tarah vo mar gayā hai mere andar
ḳhasta-o-ḳhāmosh-o-bātil ho ga.ī huuñ
pūchhtī huuñ aa.ine se har ghaḌī
kaun hai terī nazar meñ kaun hai ye dūsrī
ā.īna kahtā hai lekin
jo maiñ thī ab us kā saaya bhī nahīñ
misl us raqqāsa-e-hindī ke sau sau naaz se
raqs kartī huuñ pa apnī qabr par
aah bā-sad hasrat is vīrāne meñ
raushnī kartī huuñ apnī zaat se
shahr kī jānib nahīñ jaatī kabhī
gor meñ sotī huuñ apnī be-gumāñ
dil meñ hai gauhar magar ik ḳhauf se
kar diyā hai us ko daldal meñ nihāñ
jā rahī huuñ ḳhud se pūchhā tak nahīñ
rah kahāñ manzil kahāñ maqsūd kaun
bose detī huuñ magar ġhāfil huuñ ḳhud
is dil-e-dīvāna kā mā'būd kaun
mar gayā vo mere andar aur phir
jo kuchh ki thā
merī nazroñ meñ badal kar rah gayā
raat ke ThiThure hue hāthoñ ne merī ruuh ko
qaid goyā kar liyā
haañ ye maiñ huuñ maiñ magar kyā fā.eda
vo jo mujh meñ thā nahīñ baaqī rahā
pūchhtī huuñ zer-e-lab dīvāna-vār
vo ki mujh meñ thā
vo āḳhir kaun thā
ba'd is diwangi ke
kar nahin sakti hun bawar
ab main 'aqil ho gai hun
is tarah wo mar gaya hai mere andar
KHasta-o-KHamosh-o-baatil ho gai hun
puchhti hun aaine se har ghaDi
kaun hai teri nazar mein kaun hai ye dusri
aaina kahta hai lekin
jo main thi ab us ka saya bhi nahin
misl us raqqasa-e-hindi ke sau sau naz se
raqs karti hun pa apni qabr par
aah ba-sad hasrat is virane mein
raushni karti hun apni zat se
shahr ki jaanib nahin jati kabhi
gor mein soti hun apni be-guman
dil mein hai gauhar magar ek KHauf se
kar diya hai us ko daldal mein nihan
ja rahi hun KHud se puchha tak nahin
rah kahan manzil kahan maqsud kaun
bose deti hun magar ghafil hun KHud
is dil-e-diwana ka ma'bud kaun
mar gaya wo mere andar aur phir
jo kuchh ki tha
meri nazron mein badal kar rah gaya
raat ke ThiThure hue hathon ne meri ruh ko
qaid goya kar liya
han ye main hun main magar kya faeda
wo jo mujh mein tha nahin baqi raha
puchhti hun zer-e-lab diwana-war
wo ki mujh mein tha
wo aaKHir kaun tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.