guzre saal kaa alaa.o
ḳhutūt chand lamhoñ meñ apne aap ko nigal jaate haiñ
chiTḳhinioñ se bāñdhe ga.e
dostoñ ke paiġhāmāt
shaffāf surḳh kāġhaz
parvānoñ ke paroñ kī tarah sulagte haiñ
havā ke saath havā ho jaate haiñ
kisī bhī saal kā ek baḌā hissa
āsānī se aag pakaḌ lene kī fitrat rakhtā hai
sabziyoñ kī fehristeñ adhūrī nazmeñ
dinoñ kā chakrātā huā nāranjī sho'la
bahut kam hai jo patthar hai
jahāñ abhī kuchh thā aur achānak nahīñ hai
ek lā-vajūd chīḳhtā hai
jashn manātā hai
ek ḳhalā chhoḌ jaatā hai
maiñ dubāra āġhāz kartī huuñ
kam-tarīn 'adad se
tez raqs ḳhasāroñ aur judā.iyoñ kī badaltī tartībeñ
sirf vo kaam jo maiñ ne nahīñ kiye
alaav bujhne ke baad chaTaḳhte rahte haiñ
KHutut chand lamhon mein apne aap ko nigal jate hain
chiTKHinion se bandhe gae
doston ke paighamat
shaffaf surKH kaghaz
parwanon ke paron ki tarah sulagte hain
hawa ke sath hawa ho jate hain
kisi bhi sal ka ek baDa hissa
aasani se aag pakaD lene ki fitrat rakhta hai
sabziyon ki fehristen adhuri nazmen
dinon ka chakraata hua naranji sho'la
bahut kam hai jo patthar hai
jahan abhi kuchh tha aur achanak nahin hai
ek la-wajud chiKHta hai
jashn manata hai
ek KHala chhoD jata hai
main dubara aaghaz karti hun
kam-tarin 'adad se
tez raqs KHasaron aur judaiyon ki badalti tartiben
sirf wo kaam jo main ne nahin kiye
alaw bujhne ke baad chaTaKHte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.