halqa
ek laḌkī ne ye pūchhā hans kar
raaz is halqa-e-zarrīñ kā hai kyā
jis ne unglī ko mirī
is qadar saḳht dabā rakkhā hai
jis kī peshānī par
is qadar tābish-o-raḳhshandagī hai
mard hairān huā aur bolā
halaqa-e-ḳhush-baḳhtī
halqa-e-zindagī hai
vaqt guzrā
aur ik din zan-e-afsurda ne
halqa-e-zar pe nazar phir Daalī
aur dekhe vo shab-o-roz jo be-sūd ga.e
sarf-e-ummīd-e-vafā-e-shauhar
roī 'aurat ke dareġh
halqa-e-zar meñ hanūz
vahī tābish vahī raḳhshandagī hai
ye ġhulāmī kā hai halqa samjhī
halqa-e-burdagī-o-bandagī hai
ek laDki ne ye puchha hans kar
raaz is halqa-e-zarrin ka hai kya
jis ne ungli ko meri
is qadar saKHt daba rakkha hai
jis ki peshani par
is qadar tabish-o-raKHshandagi hai
mard hairan hua aur bola
halaqa-e-KHush-baKHti
halqa-e-zindagi hai
waqt guzra
aur ek din zan-e-afsurda ne
halqa-e-zar pe nazar phir Dali
aur dekhe wo shab-o-roz jo be-sud gae
sarf-e-ummid-e-wafa-e-shauhar
roi 'aurat ke daregh
halqa-e-zar mein hanuz
wahi tabish wahi raKHshandagi hai
ye ghulami ka hai halqa samjhi
halqa-e-burdagi-o-bandagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.