is buu-e-gul ne phir mujhe diivaana kar diyaa
is bū-e-gul ne phir mujhe dīvāna kar diyā
bād-e-sabā ne 'aql se begāna kar diyā
gul ne kuchh is adā se jalāyā charāġh-e-husn
be-chārī 'andalīb ko parvāna kar diyā
vo āshnā ḳhud aap mirī jaan hī to hai
yuuñ jis ne mujh ko jaan se begāna kar diyā
mujh ko ḳhabar nahīñ ki kise kahte haiñ parī
mujh ko to tere husn ne dīvāna kar diyā
kyā pūchhte ho dosto 'ḳhusro' ke dil kā haal
is ne to ek kā'be ko but-ḳhāna kar diyā
is bu-e-gul ne phir mujhe diwana kar diya
baad-e-saba ne 'aql se begana kar diya
gul ne kuchh is ada se jalaya charagh-e-husn
be-chaari 'andalib ko parwana kar diya
wo aashna KHud aap meri jaan hi to hai
yun jis ne mujh ko jaan se begana kar diya
mujh ko KHabar nahin ki kise kahte hain pari
mujh ko to tere husn ne diwana kar diya
kya puchhte ho dosto 'KHusro' ke dil ka haal
is ne to ek ka'be ko but-KHana kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.