jamaal-e-yaar kii jo aa.nkh bhii KHabar rakkhe

jamaal-e-yaar kii jo aa.nkh bhii KHabar rakkhe
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
jamāl-e-yār kī jo aañkh bhī ḳhabar rakkhe
haqīqatan vo basīrat se pur nazar rakkhe
jhukā diyā sar-e-taslīm ham ne misl-e-qalam
mabādā ab vo use nok-e-teġh par rakkhe
tire visāl kā parvāna bas usī ko mile
jo misl-e-sham’ sadā zer-e-teġh sar rakkhe
use milā tire qadmoñ ko chūmne kā sharaf
juuñ āstāñ jo paḌā tere dar pe sar rakkhe
maiñ zohd-e-ḳhushk se ghabrā gayā sharāb to lā
mahak isī kī to har dam dimāġh tar rakkhe
nahīñ sharāb meñ kuchh bhī magar ye kyā kam hai
fasād-e-'aql se kuchh der be-ḳhabar rakkhe
use bhī ḳhaak meñ le jā.egā dil-e-'hāfiz'
vo daaġh sūrat-e-lāla jise jigar rakkhe
jamal-e-yar ki jo aankh bhi KHabar rakkhe
haqiqatan wo basirat se pur nazar rakkhe
jhuka diya sar-e-taslim hum ne misl-e-qalam
mabaada ab wo use nok-e-tegh par rakkhe
tere visal ka parwana bas usi ko mile
jo misl-e-sham’ sada zer-e-tegh sar rakkhe
use mila tere qadmon ko chumne ka sharaf
jun aastan jo paDa tere dar pe sar rakkhe
main zohd-e-KHushk se ghabra gaya sharab to la
mahak isi ki to har dam dimagh tar rakkhe
nahin sharab mein kuchh bhi magar ye kya kam hai
fasad-e-'aql se kuchh der be-KHabar rakkhe
use bhi KHak mein le jaega dil-e-'hafiz'
wo dagh surat-e-lala jise jigar rakkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.