javaab
jab shāh-rāhoñ par sailāb sā aa jaatā hai
aur yake-bā'd-dīgre qadroñ ke mandir Dhahe lagte haiñ
zard sahāfat vaale tāqat-var sarmāya-dār sahāfī
har nukkaḌ par khaḌe ho kar bechne lagte haiñ
masāle-dār chaTpaTī ḳhabareñ
aur har chanda gaalī kī qīmat vasūl karte haiñ
subā.ī firqa-vāriyat kī aag phailāte haiñ
apnī bīḌiyāñ āsānī se sulgāne kī ḳhātir
jab mash.hūr ġhunDe caroñ meñ ghūmte phirte haiñ
aur dānish-var badan churā.e jaise taise, rāste par paidal chalte haiñ
jab sarkārī daftaroñ meñ ḳhuun chūsne vaale khaTmaloñ kī ta.adād
kursiyoñ ke tufail insānoñ se ziyāda ho jaatī hai
jab zaat paat kī niiñv par eqtidār kī imārat khuḌ karne vaalā
chhat par khaḌe ho kar qaumī yak-jihatī par bhāshan detā hai
tum pūchhte ho kis liye maiñ mere alfāz
yuuñ 'adāvat se kumhlā.e hue
kis liye haiñ yuuñ mudda.ī bane hue
jab shah-rahon par sailab sa aa jata hai
aur yake-ba'd-digre qadron ke mandir Dhahe lagte hain
zard sahafat wale taqat-war sarmaya-dar sahafi
har nukkaD par khaDe ho kar bechne lagte hain
masale-dar chaTpaTi KHabaren
aur har chanda gali ki qimat wasul karte hain
subai firqa-wariyat ki aag phailate hain
apni biDiyan aasani se sulgane ki KHatir
jab mashhur ghunDe caron mein ghumte phirte hain
aur danish-war badan churae jaise taise, raste par paidal chalte hain
jab sarkari daftaron mein KHun chusne wale khaTmalon ki tadad
kursiyon ke tufail insanon se ziyaada ho jati hai
jab zat pat ki ninw par eqtidar ki imarat khuD karne wala
chhat par khaDe ho kar qaumi yak-jihati par bhashan deta hai
tum puchhte ho kis liye main mere alfaz
yun 'adawat se kumhlae hue
kis liye hain yun muddai bane hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.