javaanii aur bu.Dhaapaa
Interesting Fact
(لارڈ بائرن کی نظم YOUTH AND AGE کا ترجمہ)
(1)
duniyā meñ nahīñ is se baḌī koī musībat
jazbāt kā mar jaanā qayāmat hai qayāmat
jab bujhtā hai dil koī masarrat nahīñ rahtī
jazbāt meñ aglī sī harārat nahīñ rahtī
(2)
jo log luTā baiThe hoñ sar-chashma ḳhushī kā
lete haiñ vo kam-baḳht gunāhoñ kā sahārā
vo qulzum-e-hastī meñ bhaTakte hī raheñge
vāmāñda haiñ sāhil pe kabhī aa na sakeñge
(3)
mardoñ kī tarah ruuh ThiThur jaatī hai un kī
auroñ kā hai ġham un ko na kuchh fikr hai apnī
ehsās kā sar-chashma hī jab suukh chukā hai
phir un ke liye ziist meñ kyā ḳhaak dharā hai
(4)
mumkin hai ki ye log nazar aa.eñ kabhī shaad
go rātoñ kī ab niiñd vo kar baiThe haiñ barbād
kyā pūchhte ho un ke tabassum kī haqīqat
sabze meñ nihāñ jaise ho ik ḳhasta 'imārat
(5)
ai kaash palaT aa.e vo maazī kā zamāna
ik baar phir aa jaa.e mujhe dil ko rulātā
sahrā meñ kahīñ pyāse ko jaise mile paanī
taskīn bahut degī mujhe ashk-fishānī
(1)
duniya mein nahin is se baDi koi musibat
jazbaat ka mar jaana qayamat hai qayamat
jab bujhta hai dil koi masarrat nahin rahti
jazbaat mein agli si hararat nahin rahti
(2)
jo log luTa baiThe hon sar-chashma KHushi ka
lete hain wo kam-baKHt gunahon ka sahaara
wo qulzum-e-hasti mein bhaTakte hi rahenge
wamanda hain sahil pe kabhi aa na sakenge
(3)
mardon ki tarah ruh ThiThur jati hai un ki
auron ka hai gham un ko na kuchh fikr hai apni
ehsas ka sar-chashma hi jab sukh chuka hai
phir un ke liye zist mein kya KHak dhara hai
(4)
mumkin hai ki ye log nazar aaen kabhi shad
go raaton ki ab nind wo kar baiThe hain barbaad
kya puchhte ho un ke tabassum ki haqiqat
sabze mein nihan jaise ho ek KHasta 'imarat
(5)
ai kash palaT aae wo mazi ka zamana
ek bar phir aa jae mujhe dil ko rulata
sahra mein kahin pyase ko jaise mile pani
taskin bahut degi mujhe ashk-fishani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.