jis ko tire Gam se pyaar hogaa
jis ko tire ġham se pyaar hogā
tā-hashr vo be-qarār hogā
suufī ne shikast-e-tauba kī hai
phir na vo hoshiyār hogā
ye jām-e-sharāb-e-‘ishq pī kar
kis kā qadam ustuvār hogā
bulbul vahīñ naġhma-rez hogī
gulshan pe jahāñ nikhār hogā
jaañ de ke milā ye 'ishq kā daaġh
vaañ par tirī yādgār hogā
hai terī ġhulāmī shān-e-'ḳhusro'
āzād na kar ki ḳhvār hogā
jis ko tere gham se pyar hoga
ta-hashr wo be-qarar hoga
sufi ne shikast-e-tauba ki hai
phir na wo hoshiyar hoga
ye jam-e-sharab-e-‘ishq pi kar
kis ka qadam ustuwar hoga
bulbul wahin naghma-rez hogi
gulshan pe jahan nikhaar hoga
jaan de ke mila ye 'ishq ka dagh
wan par teri yaadgar hoga
hai teri ghulami shan-e-'KHusro'
aazad na kar ki KHwar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.