kaaGaz
mere paas tiin hazār pāñch sau chhe rupa.e haiñ
in meñ se gyārah sau ke
ek sau ek biis ke
das das ke das
baqiyā pāñch ke
in meñ sirf ek rupa.e kā kāġhaz hai
jis par ḳhūbsūrat niilā naqsh hai
kisī ke dastaḳhat haiñ
dāhinī taraf safed chāñdī ke rupa.e kī tasvīr
bā.īñ taraf safeda jalī jagah hai
nīche aaTh hindisoñ vaalā number
uupar mere desh kā naam bhī hai
pīchhe darmiyān meñ terah rasm-ul-ḳhat haiñ
jis meñ tum bhī paḌh sakoge
aise do lafz haiñ
ek roTī milegī kyā
mere pas tin hazar panch sau chhe rupae hain
in mein se gyarah sau ke
ek sau ek bis ke
das das ke das
baqiya panch ke
in mein sirf ek rupae ka kaghaz hai
jis par KHubsurat nila naqsh hai
kisi ke dastaKHat hain
dahini taraf safed chandi ke rupae ki taswir
bain taraf safeda jali jagah hai
niche aaTh hindison wala number
upar mere desh ka nam bhi hai
pichhe darmiyan mein terah rasm-ul-KHat hain
jis mein tum bhi paDh sakoge
aise do lafz hain
ek roTi milegi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.