kafan par baarish
kafan par barastī bārish ne
yaad dilāyā laash ko
vo gaañv jise vo chhoḌ chukī thī
is se peshtar ki vo jāntī
ki vo vahī hai
yā koī aur
jis se us kā mahbūb ham-āġhosh huā
imlī ke daraḳht ke nīche
ek 'azīm sūraj-mukhī buland huā
us paikar ko chhupāne
maqtūla ḳhādima kī ruuh
jise gaañv ke tālāb meñ pheñk diyā gayā thā
bargad par baiTh kar
bolne lagī ek tote ke muñh se
miTTī kī tah meñ kakḌī ke bījoñ ne
bādaloñ kī zabān meñ
aapas meñ sargoshī kī
bārish ke rukne se pahle hī
laash sarhad paar kar chukī thī
qabristān meñ tamām nīl-zada lāsheñ
mehmān ko ḳhush-āmdīd kahne muntazir khaḌī haiñ
kāñch kī ghanTiyāñ bajāte hue un ke haath
malyālam meñ ikyāvan uñgliyoñ ke saath
kafan par barasti barish ne
yaad dilaya lash ko
wo ganw jise wo chhoD chuki thi
is se peshtar ki wo jaanti
ki wo wahi hai
ya koi aur
jis se us ka mahbub ham-aghosh hua
imli ke daraKHt ke niche
ek 'azim suraj-mukhi buland hua
us paikar ko chhupane
maqtula KHadima ki ruh
jise ganw ke talab mein phenk diya gaya tha
bargad par baiTh kar
bolne lagi ek tote ke munh se
miTTi ki tah mein kakDi ke bijon ne
baadalon ki zaban mein
aapas mein sargoshi ki
barish ke rukne se pahle hi
lash sarhad par kar chuki thi
qabristan mein tamam nil-zada lashen
mehman ko KHush-amdid kahne muntazir khaDi hain
kanch ki ghanTiyan bajate hue un ke hath
malyalam mein ikyawan ungliyon ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.