keet
īshvar ek
zabardast keeT hai
mere dil kī ḳhushiyāñ khā Dālne vaalā
maiñ jab ḳhushī se zarā hañstā huuñ
to vo merī peshānī par uchhaltā hai
us ke siyāh chamkīle peT ke nīche
merī āñkheñ bilkul Dhak jaatī haiñ
maiñ donoñ hāthoñ se noch kar
nikāl pheñkne kī koshish kartā huuñ
lekin us ke nokīle tez nāḳhun
dimāġh tak pahuñche hue hote haiñ
jaise maiñ īshvar keeT kā dhaan hī huuñ
vo aa.e
ham kaheñ khā.iye
ishwar ek
zabardast keeT hai
mere dil ki KHushiyan kha Dalne wala
main jab KHushi se zara hansta hun
to wo meri peshani par uchhalta hai
us ke siyah chamkile peT ke niche
meri aankhen bilkul Dhak jati hain
main donon hathon se noch kar
nikal phenkne ki koshish karta hun
lekin us ke nokile tez naKHun
dimagh tak pahunche hue hote hain
jaise main ishwar keeT ka dhan hi hun
wo aae
hum kahen khaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.