KHvaab
maiñ so gayā thā
yā zarā sī der ke liye palak jhapak ga.ī
tum aa.e aur chale ga.e
jahāñ-tahāñ paḌe haiñ chand phuul
jo atā-patā kuchh na batā sakeñ
ki vo kahāñ se aa.e haiñ
sugandh sī fazāoñ meñ
rachī-basī hai... (boltī nahīñ)
ye aarzū hai aur so sakūñ
... ḳhvāb kuchh tavīl ho
ki phuul khil ke baat kar sakeñ
tumhārā kuchh atā-patā batā sakeñ
hamāre aur tumhāre darmiyān
mahaktī ḳhushbūoñ ke pul banā sakeñ!
main so gaya tha
ya zara si der ke liye palak jhapak gai
tum aae aur chale gae
jahan-tahan paDe hain chand phul
jo ata-pata kuchh na bata saken
ki wo kahan se aae hain
sugandh si fazaon mein
rachi-basi hai (bolti nahin)
ye aarzu hai aur so sakun
KHwab kuchh tawil ho
ki phul khil ke baat kar saken
tumhaara kuchh ata-pata bata saken
hamare aur tumhaare darmiyan
mahakti KHushbuon ke pul bana saken!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.