kis rah se aayaa thaa yahaa.n
kis rah se aayā thā yahāñ
lauTūñ paḌe haiñ kitne kaam
duur ho pal bhar kū-e-yār
maz.hab-e-'ishq meñ hai ye harām
is gaañv meñ gar koī hai
vallāh hai vo shoḳh-e-tamām
chiḌiyā kyā bach pā.egī
sī-murġhoñ se bharā hai daam
ai āvāra idhar ko aa
baiTh yahāñ achchhā hai maqām
khā ye gazak jāñ-fazā hai ye
maañg vo mai jo rakhe qivām
baaqī sab kuchh rang aur naqsh
baaqī jang aur nang aur naam
chup ho jā aur Thiik se baiTh
be-ḳhud ye hai kinār-e-bām
kis rah se aaya tha yahan
lauTun paDe hain kitne kaam
dur ho pal bhar ku-e-yar
mazhab-e-'ishq mein hai ye haram
is ganw mein gar koi hai
wallah hai wo shoKH-e-tamam
chiDiya kya bach paegi
si-murghon se bhara hai dam
ai aawara idhar ko aa
baiTh yahan achchha hai maqam
kha ye gazak jaan-faza hai ye
mang wo mai jo rakhe qiwam
baqi sab kuchh rang aur naqsh
baqi jang aur nang aur nam
chup ho ja aur Thik se baiTh
be-KHud ye hai kinar-e-baam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.