lams-e-ulfat
ai duniyā
maiñ ne jab tak
tujhe pyaar nahīñ kiyā thā
tab tak tumhāre nuur ko
talāsh nahīñ kar paayā thā
apnī sab kuchh daulat ko
tab tak
saarā ākāsh
haath meñ
apnā diip liye rāsta dekh rahā thā
merā prem giit gaatā huā aayā
na jaane kyā sargoshī huī
us ne tumhāre gale meñ Daal dī apne gale kī maalā
pyār-bharī nigāhoñ se hañs kar
us ne tumheñ
chhupe taur par jo kuchh diyā hai tumhāre chhupe dil meñ
vo tāroñ kī maalā ke biich bahut dinoñ tak rahegā guthā huā
ai duniya
main ne jab tak
tujhe pyar nahin kiya tha
tab tak tumhaare nur ko
talash nahin kar paya tha
apni sab kuchh daulat ko
tab tak
sara aakash
hath mein
apna dip liye rasta dekh raha tha
mera prem git gata hua aaya
na jaane kya sargoshi hui
us ne tumhaare gale mein Dal di apne gale ki mala
pyar-bhari nigahon se hans kar
us ne tumhein
chhupe taur par jo kuchh diya hai tumhaare chhupe dil mein
wo taron ki mala ke bich bahut dinon tak rahega gutha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.