le ke nazraana-e-sad-'ijz-o-niyaaz aayaa huu.n
le ke nazrāna-e-sad-'ijz-o-niyāz aayā huuñ
ban ke ātish-kada-e-soz-o-gudāz aayā huuñ
dil pe chhā.ī rahī zulfoñ kī darāzī kī kashish
kis tarah kaaT ke shab-hā-e-darāz aayā huuñ
tere abrū pe nazar paḌ ga.ī madhoshī meñ
mast huuñ jānib-e-mehrāb-e-namāz aayā huuñ
maiñ gayā thā magar is dil ne kiyā phir majbūr
ho ke āshufta sarāpā-e-niyāz aayā huuñ
le ke nazrana-e-sad-'ijz-o-niyaz aaya hun
ban ke aatish-kada-e-soz-o-gudaz aaya hun
dil pe chhai rahi zulfon ki daraazi ki kashish
kis tarah kaT ke shab-ha-e-daraaz aaya hun
tere abru pe nazar paD gai madhoshi mein
mast hun jaanib-e-mehrab-e-namaz aaya hun
main gaya tha magar is dil ne kiya phir majbur
ho ke aashufta sarapa-e-niyaz aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.