maah kii taabindagii ruu-e-daraKHshaa.n aap kaa

maah kii taabindagii ruu-e-daraKHshaa.n aap kaa
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
maah kī tābindagī rū-e-daraḳhshāñ aap kā
aabrū hai husn kī chāh-e-zanaḳhdāñ aap kā
jaañ laboñ tak aa ga.ī hai hasrat-e-dīdār meñ
ab vo jaa.e yā rahe kyā hukm jānāñ aap kā
jaag jā.egī mirī soī huī qismat agar
aab de āñkhoñ ko merī rū-e-tābāñ aap kā
bhej bhī diije sabā ke haath ḳhushbū gul-ruḳhī
ham bhī mahkeñ jis kī miTTī se vo bustāñ aap kā
ab ḳhudā jaane karegā kaun in donoñ ko ek
dil pareshāñ hai mirā gesū pareshāñ aap kā
aap kī qurbat nahīñ hāsil pa jur.at dekhiye
aap ke aaqā kā banda aur sanā-ḳhvāñ aap kā
sun ke āmīñ boliye 'hāfiz' hai masrūf-e-du'ā
ho hamārā rizq lā’l-e-shakr-afshāñ aap kā
mah ki tabindagi ru-e-daraKHshan aap ka
aabru hai husn ki chah-e-zanaKHdan aap ka
jaan labon tak aa gai hai hasrat-e-didar mein
ab wo jae ya rahe kya hukm jaanan aap ka
jag jaegi meri soi hui qismat agar
aab de aankhon ko meri ru-e-taban aap ka
bhej bhi dije saba ke hath KHushbu gul-ruKHi
hum bhi mahken jis ki miTTi se wo bustan aap ka
ab KHuda jaane karega kaun in donon ko ek
dil pareshan hai mera gesu pareshan aap ka
aap ki qurbat nahin hasil pa jurat dekhiye
aap ke aaqa ka banda aur sana-KHwan aap ka
sun ke aamin boliye 'hafiz' hai masruf-e-du'a
ho hamara rizq la’l-e-shakr-afshan aap ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.