mai-kade me.n ek shaKHs
mai-kade meñ maiñ ne dekhā ek shaḳhs
raakh kā ham-rang jis kā rang thā
aur
hoñToñ par hañsī be-kaif sī
faq thā chehra
donoñ āñkheñ thiiñ savāloñ ke nishāñ
haath meñ thāme thā vo jām-e-sharāb
ik 'adad zaitūn thā jis meñ paḌā
jām-e-mai lab se lagāyā tak nahīñ
haañ magar zaitūn ko us ne hilāyā baar baar
haañ magar zaitūn ko us ne ghumāyā baar baar
gardish-e-zaitūn ke manzar meñ vo Duubā huā
ghūrtā thā jaam ko kuchh is tarah
jaise us ke kul savāloñ ke javāb
jaam kī tah se ubhar kar ā.eñge
mil sakā us ko na koī bhī javāb
uTh rahe the nit na.e lākhoñ savāl
saañp sā bal khā ke saath haibat ke vo pīchhe haTā
jaise us kā jaam thā tanhā.iyoñ kā aa.ina
maiñ ye hālat dekh kar Dar se sikuḌ kar rah gayā
Dar lagā us shaḳhs kī nisbat 'ajab sā Dar lagā
aur kuchh apne ta'alluq se laraz kar rah gayā
uf na pūchho ḳhauf mujh par kis qadar taarī huā
mai-kade mein main ne dekha ek shaKHs
rakh ka ham-rang jis ka rang tha
aur
honTon par hansi be-kaif si
faq tha chehra
donon aankhen thin sawalon ke nishan
hath mein thame tha wo jam-e-sharab
ek 'adad zaitun tha jis mein paDa
jam-e-mai lab se lagaya tak nahin
han magar zaitun ko us ne hilaya bar bar
han magar zaitun ko us ne ghumaya bar bar
gardish-e-zaitun ke manzar mein wo Duba hua
ghurta tha jam ko kuchh is tarah
jaise us ke kul sawalon ke jawab
jam ki tah se ubhar kar aaenge
mil saka us ko na koi bhi jawab
uTh rahe the nit nae lakhon sawal
sanp sa bal kha ke sath haibat ke wo pichhe haTa
jaise us ka jam tha tanhaiyon ka aaina
main ye haalat dekh kar Dar se sikuD kar rah gaya
Dar laga us shaKHs ki nisbat 'ajab sa Dar laga
aur kuchh apne ta'alluq se laraz kar rah gaya
uf na puchho KHauf mujh par kis qadar tari hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.