mai.n baiThaa dekhtaa huu.n
maiñ duniyā ke tamām dukhoñ aur tamām zulm aur sharm-nākī ko baiThā dekhtā huuñ
maiñ un naujavānoñ ko jo apne kiye par pachhtāte hue ḳhud apne aap se dukhī haiñ
chorī chhupe tilmilāte hue siskiyāñ lete suntā huuñ
maiñ dekhtā huuñ ki niich logoñ meñ aulād apnī maañ se bad-sulūkī kar rahī hai
jo kasmapursī ke 'ālam meñ suukh ke kāñTā jaan par khel jaane ko tayyār gor kināre
maiñ miyāñ ko biivī se bad-sulūkī karte dekhtā huuñ maiñ un ġharīb sāzoñ ko dekhtā huuñ jo naujavān 'auratoñ ko varġhalā kar ḳharāb karte haiñ
maiñ had kī chiñgāriyoñ aur akārat jaane vaalī mohabbat par parda Dālne kī koshish ko dekhtā huuñ
maiñ duniyā meñ ye sab kuchh dekhtā huuñ
maiñ jang vabā aur istibdād kī kāristānī dekhtā huuñ maiñ shahīdoñ aur zindāniyoñ ko dekhtā huuñ
maiñ dekhtā huuñ ki samundar par call paḌā hai maiñ mallāhoñ ko is baat ke liye
qur'a-andāzī karte dekhtā huuñ ki bāqiyoñ kī jaan bachāne ke liye kise maarā jaa.e
maiñ dekhtā huuñ ki ahl-e-takabbur mazdūroñ ġharīboñ habshiyoñ aur inhī jaisoñ ko
kis tarah zalīl aur rusvā karte haiñ
ye sab kuchh ye tamām kamīngī aur karb jis kā koī ant nahīñ baiThā dekhtā huuñ
dekhtā huuñ suntā huuñ aur chup rahtā huuñ
main duniya ke tamam dukhon aur tamam zulm aur sharm-naki ko baiTha dekhta hun
main un naujawanon ko jo apne kiye par pachhtate hue KHud apne aap se dukhi hain
chori chhupe tilmilate hue siskiyan lete sunta hun
main dekhta hun ki nich logon mein aulad apni man se bad-suluki kar rahi hai
jo kasmapursi ke 'alam mein sukh ke kanTa jaan par khel jaane ko tayyar gor kinare
main miyan ko biwi se bad-suluki karte dekhta hun main un gharib sazon ko dekhta hun jo naujawan 'auraton ko warghala kar KHarab karte hain
main had ki chingariyon aur akarat jaane wali mohabbat par parda Dalne ki koshish ko dekhta hun
main duniya mein ye sab kuchh dekhta hun
main jang waba aur istibdad ki karistani dekhta hun main shahidon aur zindaniyon ko dekhta hun
main dekhta hun ki samundar par call paDa hai main mallahon ko is baat ke liye
qur'a-andazi karte dekhta hun ki baqiyon ki jaan bachane ke liye kise mara jae
main dekhta hun ki ahl-e-takabbur mazduron gharibon habshiyon aur inhi jaison ko
kis tarah zalil aur ruswa karte hain
ye sab kuchh ye tamam kamingi aur karb jis ka koi ant nahin baiTha dekhta hun
dekhta hun sunta hun aur chup rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.