Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai.n tere darbaar me.n huu.n aayaa

Translation Available By: Suhail Ahmad Farooqi

Rabindranath Tagore

Rabindranath Tagore

mai.n tere darbaar me.n huu.n aayaa

Rabindranath Tagore

MORE BYRabindranath Tagore

    maiñ tere darbār meñ huuñ aayā

    ki giit gā.ūñ tire liye maiñ

    us ek kone meñ mil ga.ī hai jagah mujhe bhī

    ki terī duniyā meñ

    kaam merā nahīñ hai kuchh aur

    ye zindagī merī

    jis masraf koī nahīñ hai

    agar hai iz.hār is mumkin to bas suroñ meñ

    aur is maqsad bhī kuchh nahīñ hai

    jo nisf shab ke añdhere ma.abad meñ

    terī ḳhāmosh bandagī vo sā'at aa.e

    to mere aaqā

    ye hukm mujh ko zarūr denā

    ki sāmne tere rah ke hāzir

    maiñ sharaf-e-naġhma-sarā.ī pā.ūñ

    nasīm-e-saharī uñgliyāñ jab

    sunahrī mizrāb par

    rasīle suroñ ko chheḌeñ

    to mujh ko e'zāz ye 'atā ho

    ki tere darbār meñ maiñ aa.uuñ

    tire liye maiñ bhī giit gā.ūñ

    main tere darbar mein hun aaya

    ki git gaun tere liye main

    us ek kone mein mil gai hai jagah mujhe bhi

    ki teri duniya mein

    kaam mera nahin hai kuchh aur

    ye zindagi meri

    jis ka masraf koi nahin hai

    agar hai izhaar is ka mumkin to bas suron mein

    aur is ka maqsad bhi kuchh nahin hai

    jo nisf shab ke andhere mabad mein

    teri KHamosh bandagi ki wo sa'at aae

    to mere aaqa

    ye hukm mujh ko zarur dena

    ki samne tere rah ke hazir

    main sharaf-e-naghma-sarai paun

    nasim-e-sahari ki ungliyan jab

    sunahri mizrab par

    rasile suron ko chheDen

    to mujh ko e'zaz ye 'ata ho

    ki tere darbar mein main aaun

    tere liye main bhi git gaun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now