mai.n us din bhii thaa jab ki asmaa na the

mai.n us din bhii thaa jab ki asmaa na the
Maulana Jalaluddin Rumi
MORE BYMaulana Jalaluddin Rumi
maiñ us din bhī thā jab ki asmā na the
nishān aur vujūd-e-musammā na thā
hue mujh se zāhir musammā-o-ism
ki jab imtiyāz-e-ham-o-maiñ na thā
zuhūr-e-nishāñ thā sar-e-zulf-e-yār
abhī vo sar-e-zulf-e-zebā na thā
use maiñ ne DhūñDā kalīsāoñ meñ
kalīsāoñ meñ vo kisī jā na thā
use mandiroñ meñ kiyā phir talāsh
vahāñ rang us kā huvaidā na thā
hirāt aur qandhār meñ kī talāsh
nahīñ thā kahīñ zer-o-bālā na thā
kiyā 'azm maiñ ne sar-e-koh-e-qāf
vahāñ bhī ba-juz jā-e-'anqā na thā
'inān-e-talab sū-e-kā'ba jo kī
vo us jā-e-aqdas meñ paidā na thā
ye chāhā sunūñ ibn-e-sīnā se haal
ba-andāza-e-ibn-e-sīnā na thā
sū-e-manzar-e-qāb-o-qauseñ gayā
vo 'azmat kī us bār-gah meñ na thā
nazar apne dil par achānak paḌī
vahīñ us ko dekhā digar jā na thā
ba-juz ‘shams-tabrez'-e-pākīza jaañ
koī mast-o-maḳhmūr-o-shaidā na thā
main us din bhi tha jab ki asma na the
nishan aur wujud-e-musamma na tha
hue mujh se zahir musamma-o-ism
ki jab imtiyaz-e-ham-o-main na tha
zuhur-e-nishan tha sar-e-zulf-e-yar
abhi wo sar-e-zulf-e-zeba na tha
use main ne DhunDa kalisaon mein
kalisaon mein wo kisi ja na tha
use mandiron mein kiya phir talash
wahan rang us ka huwaida na tha
hiraat aur qandhaar mein ki talash
nahin tha kahin zer-o-baala na tha
kiya 'azm main ne sar-e-koh-e-qaf
wahan bhi ba-juz ja-e-'anqa na tha
'inan-e-talab su-e-ka'ba jo ki
wo us ja-e-aqdas mein paida na tha
ye chaha sunun ibn-e-sina se haal
ba-andaza-e-ibn-e-sina na tha
su-e-manzar-e-qab-o-qausen gaya
wo 'azmat ki us bar-gah mein na tha
nazar apne dil par achanak paDi
wahin us ko dekha digar ja na tha
ba-juz ‘shams-tabrez'-e-pakiza jaan
koi mast-o-maKHmur-o-shaida na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.