Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mash.huur

Translation Available By: Tanveer Anjum

Naomi Shihab Nye

Naomi Shihab Nye

mash.huur

Naomi Shihab Nye

MORE BYNaomi Shihab Nye

    dariyā mash.hūr hai machhlī nazar meñ

    buland āvāz mash.hūr hai ḳhāmoshī nazar meñ

    jo jāntī hai

    kisī ke kahne se pahle

    use zamīn virāsat meñ milegī

    ahāte meñ sotī huī billī mash.hūr hai

    parindoñ nazar meñ

    jo apne ghoñsloñ se us par nazar jamā.e hue haiñ

    aañsū mash.hūr hai zarā der ke liye ruḳhsār nazar meñ

    vo ḳhayāl jo tum ne siine se lagā kar rakkhā hai

    mash.hūr hai siine nazar meñ

    muḌī huī tasvīr mash.hūr hai

    us nazar meñ jo use liye phirtā hai

    aur us nazar meñ bilkul nahīñ

    jo tasvīr meñ maujūd hai

    maiñ mash.hūr honā chāhtī huuñ

    ghisaTte hue logoñ nazar meñ

    jo saḌkeñ paar karte hue muskurāte haiñ

    saudā salf qatār meñ

    ek dūsre se chimTe hue

    bachchoñ nazar meñ

    maiñ mash.hūr honā chāhtī huuñ is baat ke liye

    ki maiñ un taraf javāban muskurātī huuñ

    maiñ mash.hūr honā chāhtī huuñ

    jaise charḳhī mash.hūr hai

    jaise mash.hūr hai

    button kaaj

    is liye nahīñ ki us ne koī shāndār kaam kar dikhāyā

    balki is liye ki vo kabhī nahīñ bhūlā

    vo karnā jo vo kar saktā thā

    dariya mashhur hai machhli nazar mein

    buland aawaz mashhur hai KHamoshi ki nazar mein

    jo jaanti hai

    kisi ke kahne se pahle hi

    use zamin wirasat mein milegi

    ahate mein soti hui billi mashhur hai

    parindon ki nazar mein

    jo apne ghonslon se us par nazar jamae hue hain

    aansu mashhur hai zara si der ke liye ruKHsar ki nazar mein

    wo KHayal jo tum ne sine se laga kar rakkha hai

    mashhur hai sine ki nazar mein

    muDi hui taswir mashhur hai

    us ki nazar mein jo use liye phirta hai

    aur us ki nazar mein bilkul nahin

    jo taswir mein maujud hai

    main mashhur hona chahti hun

    ghisaTte hue logon ki nazar mein

    jo saDken par karte hue muskuraate hain

    sauda salf ki qatar mein

    ek dusre se chimTe hue

    bachchon ki nazar mein

    main mashhur hona chahti hun is baat ke liye

    ki main un ki taraf jawaban muskuraati hun

    main mashhur hona chahti hun

    jaise charKHi mashhur hai

    jaise mashhur hai

    button ka kaj

    is liye nahin ki us ne koi shandar kaam kar dikhaya

    balki is liye ki wo kabhi nahin bhula

    wo karna jo wo kar sakta tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now