meraa vujuud
merā vujūd
bas itnā hī tū baaqī rahne de
merā jo kuchh hai vo
sab tere naam karūñ
merī vasiyyat
bas itnī hī baaqī rahne de
maiñ jis ruḳh bhī jā.ūñ
bas terā dīdār karūñ
har shai meñ
tere paas aa.uuñ maiñ
aur har lamha apnī ulfat
terī nazr karūñ
merā vujūd
bas itnā hī tū baaqī rahne de
chhupā sakūñ maiñ kabhī na tujh ko
merī beḌiyāñ
bas itnī hī baaqī rahne de
terī razā se vābasta
maiñ ho kar rah jā.ūñ
merī hayāt kā maqsad ho bas terī hī tā'mīl
vo beḌī to beḌī hai
bas terī mohabbat kī
mera wujud
bas itna hi tu baqi rahne de
mera jo kuchh hai wo
sab tere nam karun
meri wasiyyat
bas itni hi baqi rahne de
main jis ruKH bhi jaun
bas tera didar karun
har shai mein
tere pas aaun main
aur har lamha apni ulfat
teri nazr karun
mera wujud
bas itna hi tu baqi rahne de
chhupa sakun main kabhi na tujh ko
meri beDiyan
bas itni hi baqi rahne de
teri raza se wabasta
main ho kar rah jaun
meri hayat ka maqsad ho bas teri hi ta'mil
wo beDi to beDi hai
bas teri mohabbat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.