mere dard ghuumte hai.n
mere dard ghūmte haiñ
kāġhaz par
pāltī maare maiñ ye
sochtā huuñ
lā-vāris
ḳhvāb haqīqat meñ bū sūñghte haiñ
merī zindagī kī qatra qatra
merī zabān ke liye shahvat
mere jism ke liye fikr
mere dimāġh ke liye kul milā kar
mere daañt bhī ḳharāb ho ga.e haiñ
jazbe zañg-ālūd sin
ab mujhe ḳhuub mahsūs ho rahā hai
mere dil par kyā kyā guzar rahī hai
in mushkiloñ kī nihāyat nahīñ mushkiloñ ko
thuuk kar bār-bār ye aisī kaisī TūTan
ise sahne ke liye quvvat do aisī minnat kis se karūñ
mere dard ghumte hain
kaghaz par
palti mare main ye
sochta hun
la-waris
KHwab haqiqat mein bu sunghte hain
meri zindagi ki qatra qatra
meri zaban ke liye shahwat
mere jism ke liye fikr
mere dimagh ke liye kul mila kar
mere dant bhi KHarab ho gae hain
jazbe zang-alud sin
ab mujhe KHub mahsus ho raha hai
mere dil par kya kya guzar rahi hai
in mushkilon ki nihayat nahin mushkilon ko
thuk kar bar-bar ye aisi kaisi TuTan
ise sahne ke liye quwwat do aisi minnat kis se karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.