miraa guzaara tire KHudaa ke baGair hii hai
ki jis bhī qābil hai aur jo bhī hai
mirā guzāra tire ḳhudā ke baġhair hī hai
baġhair aisī ibādatoñ ke
jo ek achchhe bhale bashar ko badal ke rakh deñ
kisī muqaddas sī ḳhāk-e-pā meñ
baġhair shukrāna-e-ḳhudā ke
jo be-sabab hai
baġhair us sā.ebāñ ke
jo sāya-jūyoñ ko be-sahārā hī chhoḌtā hai
ki jis bhi qabil hai aur jo bhi hai
mera guzara tere KHuda ke baghair hi hai
baghair aisi ibaadaton ke
jo ek achchhe bhale bashar ko badal ke rakh den
kisi muqaddas si KHak-e-pa mein
baghair shukrana-e-KHuda ke
jo be-sabab hai
baghair us saeban ke
jo saya-juyon ko be-sahaara hi chhoDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.