miTTii kaa falsafa
is desh kī miTTī meñ sonā ugtā hai
patte jhaḌ ga.e
kīchaḌ meñ phañsā rah gayā ye ek peḌ
is kīchaḌ zamīn ke andar
khāñstā huā meñDak akele hī jaag rahā hogā
us ke sar par chhoTā sā taaj
raajā vaġhaira vaġhaira
sāmne miTTī khā kar
mast paḌe hue das biis meñDak
yahāñ vahāñ bikhrī huī so ek chhoTī chhoTī qabreñ
is peḌ kī khaal ke andar bhī
bārīk mahīn kapḌoñ kā ek chhoTā sā desh
adliya mandir par paidā.ish-o-maut ke register daftar
bad-unvānī rishvat-ḳhorī vaġhaira vaġhaira
is peḌ kī jaḌeñ
zamīn ke andar bahut duur tak phailī huī
aise jahannum tak mursala 1969
rahm meñ paanī bhar gayā hai
hathelī bhar ḳhandaq
Tokrī bhar miTTī
is desh ki miTTi mein sona ugta hai
patte jhaD gae
kichaD mein phansa rah gaya ye ek peD
is kichaD zamin ke andar
khansta hua meinDak akele hi jag raha hoga
us ke sar par chhoTa sa taj
raja waghaira waghaira
samne miTTi kha kar
mast paDe hue das bis meinDak
yahan wahan bikhri hui so ek chhoTi chhoTi qabren
is peD ki khaal ke andar bhi
barik mahin kapDon ka ek chhoTa sa desh
adliya mandir par paidaish-o-maut ke register daftar
bad-unwani rishwat-KHori waghaira waghaira
is peD ki jaDen
zamin ke andar bahut dur tak phaili hui
aise jahannum tak mursala 1969
rahm mein pani bhar gaya hai
hatheli bhar KHandaq
Tokri bhar miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.