nirjan kinaaro.n par
pīchhe bilkul piiTh ke pīchhe murdoñ kā mahā-nagar
sāmne bilkul kānoñ ke paas dil ke paas
ek samundar hī shanāsā hai is ajnabī shahr meñ mere liye
jo baj rahā hai tumhāre andar se mere andar jaise ham
akele shaam ko uruuj ke nuqte tak pahuñchā huā an-sunā jaaz huuñ
ye samundar andar se aa.ī huī shaam
jaise samundar ke hāthoñ meñ gaTTā rahe aur us ke andar se
phailtā chalā jā rahā hai samundar kā giit
kināre par apnī purānī zindagī ke kāġhaz murjhā.e hue phuul sūkhe patte
tezī se tairtā jā rahā hai safed jhaag par tumhārā merā
tumhārā merā baat karnā nahīñ karnā ek dūsre meñ dekhnā
abhī abhī kuchh der pahle tumhāre pair bhīgī ret par
chalte hue guzar ga.e mere kināre tak
maiñ tumhāre dil meñ bajtā huā samundar
ek tum hī ho shanāsā nirjan kināre par
pichhe bilkul piTh ke pichhe murdon ka maha-nagar
samne bilkul kanon ke pas dil ke pas
ek samundar hi shanasa hai is ajnabi shahr mein mere liye
jo baj raha hai tumhaare andar se mere andar jaise hum
akele sham ko uruj ke nuqte tak pahuncha hua an-suna jaz hun
ye samundar andar se aai hui sham
jaise samundar ke hathon mein gaTTa rahe aur us ke andar se
phailta chala ja raha hai samundar ka git
kinare par apni purani zindagi ke kaghaz murjhae hue phul sukhe patte
tezi se tairta ja raha hai safed jhag par tumhaara mera
tumhaara mera baat karna nahin karna ek dusre mein dekhna
abhi abhi kuchh der pahle tumhaare pair bhigi ret par
chalte hue guzar gae mere kinare tak
main tumhaare dil mein bajta hua samundar
ek tum hi ho shanasa nirjan kinare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.