paanii
jānvaroñ meñ bhī paanī barābar
tuul qaa.em kartā hai
āñchal kī tarah paanī niilā harā
bādal āsmān jangal raushnī
qabze meñ kar letā hai
paanī dūriyāñ baḌhātā hai
āñkhoñ ke paanī se le kar
dil ke paanī tak
aur us paanī se le kar
dil ke paanī tak
aur us paanī se le kar
phir insānī paanī tak
nasl-dar-nasl paanī kheltā hai
jhunD kī tarah
ḳhuun kā favvāra ubal paḌtā hai
zabardast jharne meñ se
lekin paanī kā bā-qā.edā qānūn hotā hai
jān-dār kī qurbānī kī tarah
aur paanī kā jhunD nahīñ kartā hai
kisī bhī nasl ko ḳhārij yā barbād
tārīḳh meñ se
hamesha ke liye
garmī meñ se aane vaale ko
kabhī paanī mil bhī gayā to
dene vaale ko DañDvat kartā hai
ya.anī kaisā hotā hai ye qā.eda qānūn
vo to ek jān-levā qism hī hotī hai na
achhūt kī
mere hāthoñ meñ hathiyār nahīñ hai
paanī kī ḳhātir maiñ tumhārī panāh meñ aaya huuñ
maañ bachche ko pilātī hai
aur roktī hai us kī jārehāna quvvat ko
pistān-zād
yaas jam jaatī hai
bachchoñ kī āñkhoñ meñ
mohabbat kā haq
Dāltā hai us par
tā-umr parchhā.īñ
aur us kī putlī
yaqīn ke saath be-kal banā dene vaalī
nithār laane vaalī
qubūl kar letī hai
haq kī bāteñ
paanī kī saarī sat.heñ
aur sab kuchh
jaanwaron mein bhi pani barabar
tul qaem karta hai
aanchal ki tarah pani nila hara
baadal aasman jangal raushni
qabze mein kar leta hai
pani duriyan baDhata hai
aankhon ke pani se le kar
dil ke pani tak
aur us pani se le kar
dil ke pani tak
aur us pani se le kar
phir insani pani tak
nasl-dar-nasl pani khelta hai
jhunD ki tarah
KHun ka fawwara ubal paDta hai
zabardast jharne mein se
lekin pani ka ba-qaeda qanun hota hai
jaan-dar ki qurbani ki tarah
aur pani ka jhunD nahin karta hai
kisi bhi nasl ko KHarij ya barbaad
tariKH mein se
hamesha ke liye
garmi mein se aane wale ko
kabhi pani mil bhi gaya to
dene wale ko DanDwat karta hai
yani kaisa hota hai ye qaeda qanun
wo to ek jaan-lewa qism hi hoti hai na
achhut ki
mere hathon mein hathiyar nahin hai
pani ki KHatir main tumhaari panah mein aaya hun
man bachche ko pilati hai
aur rokti hai us ki jarehana quwwat ko
pistan-zad
yas jam jati hai
bachchon ki aankhon mein
mohabbat ka haq
Dalta hai us par
ta-umr parchhain
aur us ki putli
yaqin ke sath be-kal bana dene wali
nithaar lane wali
qubul kar leti hai
haq ki baaten
pani ki sari sathen
aur sab kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.