parinda faqat ek parinda thaa
parinde ne kahā kyā dhuup hai mahkār hai
aah
bahār aa.ī hai
ab maiñ apne juft kī justujū meñ jaatā huuñ
parinda balcony kī kagar se
uḌā misāl-e-payāmī
aur chalā gayā
parinda chhoTā thā
parinda sochtā na thā
parinda aḳhbār na paḌhtā thā
parinde par koī qarz na thā
parinda insānoñ ko pahchāntā na thā
havā ke ruḳh par parinda
ḳhatre ke nishānoñ ke uupar
apne be-ḳhabarī kī rif'at meñ uḌ rahā thā
aur niile lamhoñ kā
dīvāna-vār tajraba kar rahā thā
parinda aah faqat ek parinda thā
parinde ne kaha kya dhup hai mahkar hai
aah
bahaar aai hai
ab main apne juft ki justuju mein jata hun
parinda balcony ki kagar se
uDa misal-e-payami
aur chala gaya
parinda chhoTa tha
parinda sochta na tha
parinda aKHbar na paDhta tha
parinde par koi qarz na tha
parinda insanon ko pahchanta na tha
hawa ke ruKH par parinda
KHatre ke nishanon ke upar
apne be-KHabari ki rif'at mein uD raha tha
aur nile lamhon ka
diwana-war tajraba kar raha tha
parinda aah faqat ek parinda tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.