phir aaj dil-Gariib ye detaa hai vaasta
phir aaj dil-ġharīb ye detā hai vāsta
de jā mirī qalam ko tū ik aur hādsa
muddat huī hai dard kā ik jaam bhī piye
tū ġham meñ ashk ghol ke de jā do-ātisha
kāġhaz kī korī riijh hai chup-chāp dekhtī
gītoñ kā lafz lafz bhaTaktā hai qāfila
chalnā maiñ chāhūñ paañv meñ kāñToñ kī le ke piiḌ
ho kokh aur qabr meñ ab jo bhī fāsla
phir aaj dil-gharib ye deta hai wasta
de ja meri qalam ko tu ek aur hadsa
muddat hui hai dard ka ek jam bhi piye
tu gham mein ashk ghol ke de ja do-atisha
kaghaz ki kori rijh hai chup-chap dekhti
giton ka lafz lafz bhaTakta hai qafila
chalna main chahun panw mein kanTon ki le ke piD
ho kokh aur qabr mein ab jo bhi fasla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.