phir vo yuusuf gum-shuda lauTegaa kan'aa.n Gam na kar
phir vo yuusuf gum-shuda lauTegaa kan'aa.n Gam na kar
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
phir vo yūsuf gum-shuda lauTegā kan'āñ ġham na kar
hogā phir mātam-kada ik din gulistāñ ġham na kar
ai fasurda qalb sab kuchh Thiik hogā rakh umiid
ai sar āshufta baham phir hogā sāmāñ ġham na kar
meherbāñ do din nahīñ ye āsmāñ to kyā huā
ek sā rahtā nahīñ hai rang-e-daurāñ ġham na kar
haar mat himmat tū sirr-e-ġhaib se vāqif nahīñ
hai pas-e-parda abhī kuchh aur pinhāñ ġham na kar
darpa.e-jāñ hai ye sailāb-e-fanā ai dil to kyā
nuuh terā nāḳhudā hai kaisā tūfāñ ġham na kar
shauq-e-kā'ba meñ qadam sahrā meñ jab rakh hī diyā
laakh talvoñ meñ chubheñ ḳhār-e-muġhīlāñ ġham na kar
koī hujra ho ki 'hāfiz' ḳhalvat-e-tīra-shabī
vird jab tak hai du'ā-o-dars-e-qur.āñ ġham na kar
phir wo yusuf gum-shuda lauTega kan'an gham na kar
hoga phir matam-kada ek din gulistan gham na kar
ai fasurda qalb sab kuchh Thik hoga rakh umid
ai sar aashufta baham phir hoga saman gham na kar
meherban do din nahin ye aasman to kya hua
ek sa rahta nahin hai rang-e-dauran gham na kar
haar mat himmat tu sirr-e-ghaib se waqif nahin
hai pas-e-parda abhi kuchh aur pinhan gham na kar
darpae-jaan hai ye sailab-e-fana ai dil to kya
nuh tera naKHuda hai kaisa tufan gham na kar
shauq-e-ka'ba mein qadam sahra mein jab rakh hi diya
lakh talwon mein chubhen KHar-e-mughilan gham na kar
koi hujra ho ki 'hafiz' KHalwat-e-tira-shabi
wird jab tak hai du'a-o-dars-e-quran gham na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.