raaste
jo bhī raste meñ hai
sab fanā kī taraf jā rahā hai
mire ġham-zada āñsuoñ qahqahoñ ko
amaañ tak nahīñ hai
har ik sang raste kā
bādal kī mānind uḌtā huā jā rahā hai
mirī samt aane kā koī bhī rasta nahīñ hai
mujhe DhūñDhnā itnā āsān nahīñ hai
vahī rāste jo na dushvār hoñ
vahī rāste jo ki hamvār hoñ
kab nishāñ merā batlā sakeñge
mire rāste saare vīrān haiñ
tang-o-dushvār haiñ
tumheñ to faqat aise rastoñ kā mā'lūm hai
jo nigāhoñ se dil se nikalte haiñ
lekin ye sab kuchh nahīñ hai
ka.ī rāste haiñ ki jin par kahīñ duur tak
jaane pahchāne qadmoñ ke koī nishāñ tak nahīñ haiñ
yahāñ vaqt-e-ruḳhsat batāne kī sā'at nahīñ
mujhe jānñe ke liye DhūñDne ke liye
daa.eñ baa.eñ kī samteñ koī rāste kā nishāñ
kuchh bhī kaafī nahīñ
yahāñ koī qutbī sitāra koī bādbāñ
kuchh bhī kaafī nahīñ hai
maiñ kisī samt se bhī na mil pā.ūñgā
mirī chashm-gīñ
duur uḌtī havāoñ kī zad meñ rahīñ
zamīñ kī tahoñ meñ
ka.ī duur kī choTiyoñ se
utartī huī chāñdnī kī shu'ā'eñ
raat siine pe ik bojh hai
tumheñ kab ḳhabar hai ki
din raat ke chaurahe meñ
hameñ kis taraf kaise muḌnā hai
lekin ye sab kuchh nahīñ hai
tumheñ kab ḳhabar hai
ki ye mā'raka jo ki kab se bapā hai
faqat dil ke maidān meñ hai
hameñ mā'rke ke harīfoñ kā
aur chhoTī jhaḌapoñ kā andāza kab hai
tumheñ kab ḳhabar hai
ki raste mirī samt jo aa rahe haiñ
vahī haiñ ki
jo terī jānib khule haiñ
mirā saarā sarmāya
āñkhoñ se terī nihāñ hai
tumheñ kab ḳhabar hai
mujhe zindagī ke ka.ī talḳh se jaam piine paḌe haiñ
mirī zindagī tak pahuñchnā
mire rāstoñ kā nishāñ DhūñDhnā itnā āsāñ nahīñ hai
zamān-o-makāñ kī kisī jihat meñ
qaid insāñ ko
kaise ḳhabar ho
yahāñ kī vahāñ kī
zamān-o-makāñ se vare
vaqt ke fāsloñ se bahut duur
us kal meñ jo Dūbte pāniyoñ meñ
nihāñ hai
vo fardā ki jis ko na jaane
kisī gard-ālūd mausam se aage bahut duur
kab jā ke aanā hai
sab kuchh nihāñ hai
mujhe jānñā itnā āsāñ nahīñ hai
mire uThte qadmoñ kā koī nishāñ tak nahīñ hai
jo bhi raste mein hai
sab fana ki taraf ja raha hai
mere gham-zada aansuon qahqahon ko
aman tak nahin hai
har ek sang raste ka
baadal ki manind uDta hua ja raha hai
meri samt aane ka koi bhi rasta nahin hai
mujhe DhunDhna itna aasan nahin hai
wahi raste jo na dushwar hon
wahi raste jo ki hamwar hon
kab nishan mera batla sakenge
mere raste sare viran hain
tang-o-dushwar hain
tumhein to faqat aise raston ka ma'lum hai
jo nigahon se dil se nikalte hain
lekin ye sab kuchh nahin hai
kai raste hain ki jin par kahin dur tak
jaane pahchane qadmon ke koi nishan tak nahin hain
yahan waqt-e-ruKHsat batane ki sa'at nahin
mujhe jaanne ke liye DhunDne ke liye
daen baen ki samten koi raste ka nishan
kuchh bhi kafi nahin
yahan koi qutbi sitara koi baadban
kuchh bhi kafi nahin hai
main kisi samt se bhi na mil paunga
meri chashm-gin
dur uDti hawaon ki zad mein rahin
zamin ki tahon mein
kai dur ki choTiyon se
utarti hui chandni ki shu'a'en
raat sine pe ek bojh hai
tumhein kab KHabar hai ki
din raat ke chaurahe mein
hamein kis taraf kaise muDna hai
lekin ye sab kuchh nahin hai
tumhein kab KHabar hai
ki ye ma'raka jo ki kab se bapa hai
faqat dil ke maidan mein hai
hamein ma'rke ke harifon ka
aur chhoTi jhaDapon ka andaza kab hai
tumhein kab KHabar hai
ki raste meri samt jo aa rahe hain
wahi hain ki
jo teri jaanib khule hain
mera sara sarmaya
aankhon se teri nihan hai
tumhein kab KHabar hai
mujhe zindagi ke kai talKH se jam pine paDe hain
meri zindagi tak pahunchna
mere raston ka nishan DhunDhna itna aasan nahin hai
zaman-o-makan ki kisi jihat mein
qaid insan ko
kaise KHabar ho
yahan ki wahan ki
zaman-o-makan se ware
waqt ke faslon se bahut dur
us kal mein jo Dubte paniyon mein
nihan hai
wo farda ki jis ko na jaane
kisi gard-alud mausam se aage bahut dur
kab ja ke aana hai
sab kuchh nihan hai
mujhe jaanna itna aasan nahin hai
mere uThte qadmon ka koi nishan tak nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.