raat kaTii gin taara taara
raat kaTī gin taara taara
huā hai dil kā dard sahārā
raat phuñkā mirā siina aisā
paar arsh ke gayā sharāra
āñkheñ ho ga.iiñ aañsū aañsū
dil kā shīsha pāra-pāra
ab to mere do hī sāthī
ik aah aur ik aañsū khārā
maiñ bujhte dīpak kā dhuāñ huuñ
kaise karūñ tirā raushan dvāra
marnā chāhā maut na aa.ī
maut bhī mujh ko de ga.ī laarā
chhoḌ na merī nabz masīhā
baad meñ ġham kā kaun sahārā
raat kaTi gin tara tara
hua hai dil ka dard sahaara
raat phunka mera sina aisa
par arsh ke gaya sharara
aankhen ho gain aansu aansu
dil ka shisha para-para
ab to mere do hi sathi
ek aah aur ek aansu khaara
main bujhte dipak ka dhuan hun
kaise karun tera raushan dwara
marna chaha maut na aai
maut bhi mujh ko de gai lara
chhoD na meri nabz masiha
baad mein gham ka kaun sahaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.