rumuuz-e-'ishq
Interesting Fact
(شیلے کے گیت LOVES PHILOSOPHY کا پہلا بند)
āb-e-ravāñ kī mast dhaar
ho ga.ī ġharq-e-jūebār
dekhiye jūebār bhī
bahr se jā gale milī
mast havā.eñ baar baar
hotī haiñ kaise ham-kanār
pīr-o-javāñ ko dekhiye
kaun-o-makāñ ko dekhiye
dahr meñ har jagah nashāt
ye hai nizām-e-kā.enāt
har jagah ḳhuub pyaar ho
har koī ham-kanār ho
lekin ai mere ham-nashīñ
tū mire paas kyoñ nahīñ
aab-e-rawan ki mast dhaar
ho gai gharq-e-juebar
dekhiye juebar bhi
bahr se ja gale mili
mast hawaen bar bar
hoti hain kaise ham-kanar
pir-o-jawan ko dekhiye
kaun-o-makan ko dekhiye
dahr mein har jagah nashat
ye hai nizam-e-kaenat
har jagah KHub pyar ho
har koi ham-kanar ho
lekin ai mere ham-nashin
tu mere pas kyon nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.