saaqiyaa uTh aur bhar de jaam ko
sāqiyā uTh aur bhar de jaam ko
ḳhaak meñ Daal ab ġham-e-ayyām ko
haath meñ de sāġhar-e-gulgūñ ki maiñ
noch pheñkūñ dalq-e-nīlī-fām ko
āqiloñ ke biich badnāmī sahī
kyā kareñge le ke nang-o-nām ko
baada lā tā duur ho bād-e-ġhurūr
ḳhaak kar duuñ nafs-e-nā-farjām ko
har kisī ko kyoñ batā.ūñ rāz-e-dil
jāntā huuñ ḳhuub ḳhās-o-'ām ko
ḳhush hai dil us yār-e-dil-ārām se
le gayā jo dil se chhīn ārām ko
sabr kar 'hāfiz' mileñ jo saḳhtiyāñ
ḳhair se pahuñchegā tū anjām ko
saqiya uTh aur bhar de jam ko
KHak mein Dal ab gham-e-ayyam ko
hath mein de saghar-e-gulgun ki main
noch phenkun dalq-e-nili-fam ko
aaqilon ke bich badnami sahi
kya karenge le ke nang-o-nam ko
baada la ta dur ho baad-e-ghurur
KHak kar dun nafs-e-na-farjam ko
har kisi ko kyon bataun raaz-e-dil
jaanta hun KHub KHas-o-'am ko
KHush hai dil us yar-e-dil-aram se
le gaya jo dil se chhin aaram ko
sabr kar 'hafiz' milen jo saKHtiyan
KHair se pahunchega tu anjam ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.