lagā hī lī hai magar maiñ ne ḳhushk-sālī meñ
sabīl tere liye ai thake hue raahī
talāsh-e-āb meñ phirtā rahā huuñ āvāra
huī hai tab kahīñ tayyār ye sabīl mirī
jahāñ bhī mujh ko dikhā.ī diyā koī chashma
jahāñ bhī aañkh ko aa.ī nazar koī naddī
vahīñ se bhar ke maiñ le aaya apnā mashkīza
hazār-rang hai merī sabīl ka paanī
yahī hai merī tamanna ki apne paanī se
bujhā.ūñ pyaas maiñ is tez dhuup meñ terī
Thahar ke raah meñ merī sabīl ka paanī
maiñ chāhtā huuñ bas itnā ki terī pyaas bujhe
ye aarzū hai ki ho jaa.e terī sairābī
tire thake hue qadmoñ meñ tāzgī aa jaa.e
nasīb tujh ko safar ke liye ho taab na.ī
tū aage baḌhte hue mujh ko jo duā degā
mirī hayāt ka hāsil vahī duā hogī
sabīl maiñ ne ye tere liye lagā.ī hai
sabīl maiñ ne ye sab ke liye lagā.ī hai
nahīñ hai farq yahāñ zaat aur maz.hab ka
laga hi li hai magar main ne KHushk-sali mein
sabil tere liye ai thake hue rahi
talash-e-ab mein phirta raha hun aawara
hui hai tab kahin tayyar ye sabil meri
jahan bhi mujh ko dikhai diya koi chashma
jahan bhi aankh ko aai nazar koi naddi
wahin se bhar ke main le aaya apna mashkiza
hazar-rang hai meri sabil ka pani
yahi hai meri tamanna ki apne pani se
bujhaun pyas main is tez dhup mein teri
Thahar ke rah mein meri sabil ka pani
main chahta hun bas itna ki teri pyas bujhe
ye aarzu hai ki ho jae teri sairabi
tere thake hue qadmon mein tazgi aa jae
nasib tujh ko safar ke liye ho tab nai
tu aage baDhte hue mujh ko jo dua dega
meri hayat ka hasil wahi dua hogi
sabil main ne ye tere liye lagai hai
sabil main ne ye sab ke liye lagai hai
nahin hai farq yahan zat aur mazhab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.