savaal
aur maiñ duniyā se ye savāl kartā huuñ
ki maiñ kaise band kar duuñ in hazāroñ lākhoñ
naujavān āvāzoñ ko jo mere sar ke andar
fariyād kar rahī haiñ ki ham zinda rahnā chāhte haiñ
kyūñki ab tak ham zindagī se mahrūm rahe haiñ
ye āvāzeñ ye pukār mere dimāġh par zarbat
lagā rahī haiñ
merī shaḳhsiyat par in kī chhāp hai
ye sadā.eñ ḳhāmosh kabhī na hoñgī
nahīñ kabhī nahīñ
aur main duniya se ye sawal karta hun
ki main kaise band kar dun in hazaron lakhon
naujawan aawazon ko jo mere sar ke andar
fariyaad kar rahi hain ki hum zinda rahna chahte hain
kyunki ab tak hum zindagi se mahrum rahe hain
ye aawazen ye pukar mere dimagh par zarbat
laga rahi hain
meri shaKHsiyat par in ki chhap hai
ye sadaen KHamosh kabhi na hongi
nahin kabhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.