shaa'ir kaa KHitaab shaa'irii se
jab maiñ ne tum se kuchh kahne ke liye kahā
tum gaane lagīñ
jab gaane ke liye kahā
tum chup rahīñ
jab maiñ ne muñh band rakhne ke liye kahā
tum chīḳh paḌīñ
maiñ to tang aa chukā
kyā fā.eda aise murīd kā
jo kabhī murshid kī hidāyat par nahīñ chaltā
ek martaba maiñ ne bhejā tumheñ paanī de kar
ek jāñ-balab shaḳhs ke liye
lekin tum ne
us ke qātil kā makān nazr-e-ātish kar diyā
jab maiñ ne tumheñ tulū'-e-sub.h kā naġhma gaane ke liye kahā
tum ne mujhe sirf matanabbe kiyā
aane vaalī nīm-shab se
maiñ ne tumheñ saḌkoñ par bhejā
inqalāb kī tablīġh ke liye
lekin tum bas daġhā ke shikār shahīdoñ kā nauha kartī rahīñ
alaihadgī pasandī ke ḳhayālāt aam karne ko kahā
to tum saḌkoñ par āvārgī meñ masrūf
mohabbat ke giit alāptī rahīñ
maiñ ne apne mahbūb ke paas
ek paiġhām de kar tumheñ bhejā
tum vahāñ se za.afrānī malbūs pahne lauT aa.ī
tum kis maañ kī janī ho
zamīn kī yā āsmān kī
aur kahāñ kisī aspatāl ke ward meñ
yā kisī naalī meñ paidā huī ho
kis ne tumheñ khilāyā pilāyā
havā ne yā sūraj ne
parvān chaḌhī tum kis chiiz par
gosha-nashīnī meñ yā tārīḳh par
kyā tum sach much merī shā'irī ho
kyā ye itnā sab kuchh hai mujh meñ
kaun huuñ maiñ
goyā huuñ yā vo jis ke baare meñ koī goyā hai
jaane do
lekin zarā batāo to
kal shab tum kis ke saath ham-bistar thī
kaun sī kahānī chhipī huī hai
jab main ne tum se kuchh kahne ke liye kaha
tum gane lagin
jab gane ke liye kaha
tum chup rahin
jab main ne munh band rakhne ke liye kaha
tum chiKH paDin
main to tang aa chuka
kya faeda aise murid ka
jo kabhi murshid ki hidayat par nahin chalta
ek martaba main ne bheja tumhein pani de kar
ek jaan-balab shaKHs ke liye
lekin tum ne
us ke qatil ka makan nazr-e-atish kar diya
jab main ne tumhein tulu'-e-subh ka naghma gane ke liye kaha
tum ne mujhe sirf matanabbe kiya
aane wali nim-shab se
main ne tumhein saDkon par bheja
inqalab ki tabligh ke liye
lekin tum bas dagha ke shikar shahidon ka nauha karti rahin
alaihadgi pasandi ke KHayalat aam karne ko kaha
to tum saDkon par aawargi mein masruf
mohabbat ke git alapti rahin
main ne apne mahbub ke pas
ek paigham de kar tumhein bheja
tum wahan se zafrani malbus pahne lauT aai
tum kis man ki jani ho
zamin ki ya aasman ki
aur kahan kisi aspatal ke ward mein
ya kisi nali mein paida hui ho
kis ne tumhein khilaya pilaya
hawa ne ya suraj ne
parwan chaDhi tum kis chiz par
gosha-nashini mein ya tariKH par
kya tum sach much meri sha'iri ho
kya ye itna sab kuchh hai mujh mein
kaun hun main
goya hun ya wo jis ke bare mein koi goya hai
jaane do
lekin zara batao to
kal shab tum kis ke sath ham-bistar thi
kaun si kahani chhipi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.