shahtuut
tum ne ab tak shahtūt ke girne kā manzar dekhā hai
ki vo kis tarah apnī surḳhī ko
miTTī meñ baañT detā hai ?
girne se ziyāda dardnāk koī chiiz nahīñ hotī
maiñ ne bahut se mazdūroñ ko dekhā hai
ki vo 'imāratoñ se girte the
aur shahtūt ho jaate the
tum ne ab tak shahtut ke girne ka manzar dekha hai
ki wo kis tarah apni surKHi ko
miTTi mein banT deta hai ?
girne se ziyaada dardnak koi chiz nahin hoti
main ne bahut se mazduron ko dekha hai
ki wo 'imaraton se girte the
aur shahtut ho jate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.