shauq faqiirii kaa
Interesting Fact
Translator : Arsh Sultanpuri
kuchh shauq thā yaar faqīrī kā
kuchh ishq ne dar-dar bhaTkāyā
kuchh yaar ne kasar na chhoḌī thī
kuchh zahr raqīb ne ghol diyā
kuchh hijr firāq kā rang chaḌhā
kuchh yaar ne ġham anmol diyā
kuchh qismat thī bad-qismat kī
kuchh hijr visāl meñ ghol diyā
kuchh yuuñ bhī rāheñ mushkil thiiñ
kuchh ġham kā gale meñ tauq bhī thā
kuchh shahr ke log bhī zālim the
kuchh marne kā hameñ shauq bhī thā
kuchh shauq tha yar faqiri ka
kuchh ishq ne dar-dar bhaTkaya
kuchh yar ne kasar na chhoDi thi
kuchh zahr raqib ne ghol diya
kuchh hijr firaq ka rang chaDha
kuchh yar ne gham anmol diya
kuchh qismat thi bad-qismat ki
kuchh hijr visal mein ghol diya
kuchh yun bhi rahen mushkil thin
kuchh gham ka gale mein tauq bhi tha
kuchh shahr ke log bhi zalim the
kuchh marne ka hamein shauq bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.